Tuesday, August 20, 2013

Woh Pyar Ka Saboot Dikhaiya Karta Tha

Woh Pyar Ka Saboot Dikhaiya Karta Tha,
Aansu Baha Kar Humein Manaya Karta Tha.

Yeh Zindagi Sirf Tum Se Wabasta Hai,
Aksar Yeh Baat Humein Bataya Karta Tha.

Uski Baatoon Mein Kuch Aisa Asar Tha,
Mein Barish Ke Binna Hi Bheeg Jaaya Karta Tha.

Sone Ki Fursat Kisse Thi,
Woh Humhe Saari Raat Jagaiya Karta Tha.

Beechaini Jab Hadd Se Zaida Badh Jaati Thi,
Woh Jee Bhar Ke Gale Lagaiya Karta Tha.

Woh Itni Mohabbat Karne Wala Badal Gaiya,
Joh Har Baat Main Meri Kasamein Khaya Karta Tha...

No comments:

Popular Posts