Monday, August 19, 2013

Us ne hans kar hamein pukara kya

Us ne hans kar hamein pukara kya
Ho gayaa phir se wo hamara kya?

Jashn sa shahr e jaaN me kaisa hai
Aa raha hai wo maah paaraa kya?

Aarzoo, khaab, aas, mahroomee
Hausla phir bhi hum ne haara kya

Meri aankheN udaas rahti hain
Ab na aaye ga wo dobara kya?

AsmaaN par nazar nahi aataa
Khogaya hai mera sitaaraa kya

Dard ki saltanat pe baithaa hai
Koi farma-N-rawaa dobaaraa kya

Ae dil e beqarar – rahne de!!!
Shahr e taskeen me hamara kya

Chaar aansu baha ke sab chup hain
RayegaaN qatl hai hamara kya

No comments:

Popular Posts