Monday, August 12, 2013

Bil-Aakhir Yeh Haseen Manzar Mita Dena hi Parta Hai

Bil-Aakhir Yeh Haseen Manzar Mita Dena hi Parta Hai
Kisi ke Sar ko Shaaney se Hata dena hi parta hai

Kisi Dair Aashna ko Jhootey Sachey Kuch Hawaaloo'n se
Taa'aaruf ke liye Sab se Mila Dena hi parta hai

Jo saansoo'n mein mehaktey hain Jo Aankhoo'n mein damaktey hain
Achaanak aik Din unn ko Bhula dena hi Parta hai

Diye jo Ham Jalaatey hain Nihaayet Shoq se Har Shab
Unhein Khud Apni Phoonkoo'n se Bujha dena hi Parta hai

Koi jab Haal Poochta hai Ham se , Kaisa haal hai Sajid
Hamein Mohtaat ho kar Muskura dena hi parta hai

Chamak Uth'tey Hain Sajid* Jab Sitaarey Uss ki Palkoo'm par
Ussey Dil se Laga kar Hosla Dena hi Parta hai

No comments:

Popular Posts