Friday, November 2, 2012

bohat se khwaab dekhe hain kabhi shairoon main dhalain ge

bohat se khwaab dekhe hain kabhi shairoon main dhalain ge
koi chehra tarashain ge koi soorat nikalain ge

abhi tau paoon ke neechay zameen mehsoos hoti hai
jahan ye khatam howay gi, waheen hum ghar bana lain ge

yehi hai na tumhain hum se bicharr janay ki jaldi hai
kabhi milna tumhare mas’alay ka hal nikaalain ge

abhi chupke se hijar asaar lamha aye ga aur phir
tum apni rah chal do ge, hum apna raasta lain ge

jo apne khoon se apni gawahi khaak per likh de
hum aise admi ko aasmaanon per utha lain ge

hamaray hath jis ke qatal ki sazish main shamil thay
saleem us shaks ke qatil se hum kaya khoon baha lain ge

No comments:

Popular Posts