Saturday, November 17, 2012

Barishain tham gayein dukh barasnay lagay aainay dhul gaye aur hawa chal pari

Barishain tham gayein dukh barasnay lagay aainay dhul gaye aur hawa chal pari
neend main dagmagaty huway saye khwaboN main chlny lagy aur hawa chal pari

chand se aik bichri kirn baam o dar ki udaasi pe ik naam likhti rahi
raat bhr khirkiyaaN band karky yunhi loog sooty rahay aur hawa chal pari

koi aahat huwi, aany waly musafir ko dekha nahi, dhool urnay lagi
deep phailay huway rastooN per abhi to jalay bhi na thy aur hawa chal pari

ab k badal bhari bastiyooN ki hadooN se guzrty huway janay kya keh gaye
shaak dar shaakh bethay parinday bhi ghar chooR kr uR gaye aur hawa chal pari

door jaty mawaishi galay main paRi ghantiyooN ki sadaaoN pe hansty rahay
us purani haveli main jaga koi, wo dareechay khulay aur hawa chal pari

meray khaitooN main sona ugalti huwiiN saari faslain teh e khaak jalnay lagi
barishooN ki dua maangny k liye hath uThay hi thy aur hawa chal pari

jany kya baat thi hum kitabooN k safhay ultay rahay, habs barhta raha
phir achanak kisi naam per be-iradah hi lab rakh diye aur hawa chal pari

No comments:

Popular Posts