Saturday, July 21, 2012

Hawa-e-tark-e-taaluq chali hai Dhiyaan rahay

Hawa-e-tark-e-taaluq chali hai Dhiyaan rahay
magr ye baat hamaray hi darmiyaan rahay

gilaa tujhi se nahiN baam o dar ki viraani
khuli fizaa maiN bhi hum log by amaan rahay

te're aseer mizaj aashnaa e mousam haiN
so teri qaid maiN reh kr te'ri amaan rahay

shikast e jaaN pe hai tajdeed e aitebaar ki muhr
jo doob kr bhi te're saahiloN ka maan rahay

wo barg jin pe rutooN ke azaab utray thy
shajr se katt k bhi mousam k tarjumaan rahay

tu apnay haq maiN gawahi kahaN se laaye ga
te're tarf se agr hum bhi bad-gumaan rahay

No comments:

Popular Posts