Saturday, July 21, 2012

Gham se behal rahy hain ap aap bohat ajeeb hain

Gham se behal rahy haiN ap aap bohat ajeeb hain,
dard meiN dhal rahy haiN ap, aap bohat ajeeb haiN...

sayaa-e-wasl kab se hay, aap ka muntazir magar,
hijr meiN jal rahy haiN ap, ap bohat jaeeb haiN....

apny khilaaf faislaa, khud se likha hay aap ne,
haath bhi mal rahy haiN aap, aap bohat ajeeb haiN...

waqt ne aarzu ki lau, dair hui bhujha bhi dee,
ab bhi pighal rahy haiN ap, aap bohat ajeeb haiN...

zehmat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiay nahiN,
gir k sambhal rahy haiN ap aap bohat ajeeb haiN...

daaira-waar hi to haiN, ishq k raasty tamaam,
raah badal rahy haiN aap, aap bohat ajeeb haiN...

dasht ki saari ronaqaiN, khair se ghar maiN haiN to kyuN
ghar se nikal rahy haiN aap, aap bohat ajeeb haiN...

apni talash ka safar khatm bhi kijiay kabhi,
khawb meiN chal rahy haiN aap, aap bohat ajeeb haiN...

No comments:

Popular Posts