Thursday, March 8, 2012

Pehla Misra

Pehla Misra

Aik din baagh main ja ker
Chashm_e_hairat-zada wa ker
Jama_e_sabr qaba ker
Tayer-posh urra ker
Shoq ko raah numa ker
Murgh nazara urra ker
Dekhi rang jo chaman ki
Khoobi nasreen-o-saman ki
Shakal gunchon k dahen ki
Taazgi laala k tan ki
Taazgi gul k badan ki
Kasht sabze ki hari thi
Naher bhi laher bhari thi
Her khayaban main tari thi
Daali her gul ki hari thi
Khush naseem_e_sehri thi
Sur-o-shamshaad-o-sanober
Sumbul-o-sousan-o-a'r-a'r
Nakhl maiwe se rahe bhar
Nafs_e_ba'ad mo'amber
Dar-o-deewar mo'attar
Kahin qumri thi matooq
Kahin angoor mua'llaq
Naale bul-bul k mudaqqaq
KahiN ghoghai ki baq-baq
Is qadr shaad howa dil
Misl gunche k gaya khil
Gham howa kushta-o-bismil
Shaadi khaatir se gai mil
Khurmi ho gai haasil
Rooh baleeda ho aai
Shaan_e_qudrat ne dikhai
Jaan si jaan main aai
Baagh kia tha goya Allah ne is baagh main Jannat ko utaara

No comments:

Popular Posts