Friday, June 3, 2011

Ye dekhnay kay liyay sab theher kay dekhtay hain


Ye dekhnay kay liyay sab theher kay dekhtay hain
woh khush khiram kisay aankh bhar kay dekhtay hain

Idhar udhar parday tukrday jigar kay dekhtay hain
karishmay ham teray teer e nazar kay dekhtay hain

Woh yon bhi kartay hen tasdeeq meray marnay ki
keh apna hath meray monh pe dhar kay dekhtay hain

Suna hay aatay hen qabroon pe woh dua kay liyay
agar ye sach hay to ham bhi mar kay dekhtay hain

Suna hay rotay howay log hen pasand unko
ham apni aankhon mein kuch ashk bhar kay dekhtay hain

Suna hay ashk rawan maojzan hen har janib
wafa kay shehr say ham bhi guzar kay dekhtay hain

Suna hay baten thirakti hen un kay honton par
ye baat hay to chalo baat karkay dekhtay hain

No comments:

Popular Posts