Friday, June 3, 2011

Ye aalam shaoq ka dekha na jaye


Ye aalam shaoq ka dekha na jaye
woh butt hay ya khuda dekha na jayay

Ye kin nazroon say too nay aaj dekha
keh tera dekhna dekha na jayay

Hamesha kay liyay mujh say bichhard ja
ye manzar barha dekha na jayay

Ghalat hay josh, par aazma kar
tujhay aey be wafa dekha na jayay

Ye mehroomi nahi paas e wafa hay
koi teray siwa dekha na jayay

Yehi to aashna bantay hen aakhir
koi na aashna dekha na jayay

Ye meray sath kesi roshni hay
keh mujh say rasta dekha na jayay

Faraz apnay siwa kaon hay tera
tujhay mujh say juda dekha na jayay

No comments:

Popular Posts