Friday, June 3, 2011

Takhleeq-e-kaainat ka matlab samajh gaya


Takhleeq-e-kaainat ka matlab samajh gaya
teray takallufat ka matlab samajh gaya

Ahbaab kar rahay hen bardi charasazian
shayed taweel raat ka matlab samajh gaya

Ham chal rahay hen teray iradon kay saath saath
majboori e hayat ka matlab samajh gaya

shayed keh ham nibah kay la,iq nahi rahay
tark e talluqaat ka matlab samajh gaya

Aey dost niyaton kay taqazay kuch aur hen
is rang e iltifat ka matlab samajh gaya

No comments:

Popular Posts