Tuesday, May 31, 2011

Janay kis zoam mein maqtal ko sajaye tum ho


Janay kis zoam mein maqtal ko sajaye tum ho
mujh ko kia qatl karo gay mere saaye tum ho

Mera pindar bardha isi mayyar kay sath
jis raoonat say mujhay daar pe layay tum ho

Is khijalat kay tabassum say ayan hen yaro
aastinon mein woh khanjar keh chupayay tum ho

Dost ka lutf to ehsan hay jab ho jayay
mehban phir bhi bardi dair mein ayay tum ho

Dastbasta o kamarbasta o labbasta sahi
is pe bhi khush ho keh darbar mein aayay tum ho

Hayay woh subh e tamanna keh na dekho gay Faraz
hayay in shammon ki qismat keh jalayay tum ho

No comments:

Popular Posts