Tuesday, May 24, 2011

Ik tamanna thi jis ki, woh khwab tum ho


Ik tamanna thi jis ki, woh khwab tum ho,
Hai sitaron ko bhi khabar, mera mehtaab tum ho.

Youn tau kai chehre mile iss zamane mein,
Magar dil ne kaha, nigahon ka aftaab tum ho.

Dekh kar phoulon ko hota hai ye gumaan,
Mast baharon mein khila gulaab tum ho.

Dastaan-e-mohabbat ho, ya koi afsaana-e-dil,
Har bazm-e-yaraan mein, mera khitaab tum ho.

Likha hai main ne, ae dost, alfaaz-e-mohabbat,
Meri ghazal,mere ashaar,meri kitaab tum ho

No comments:

Popular Posts