Saturday, January 1, 2011

saray mausam hi meray jhootay hain


saray mausam hi meray jhootay hain
ab khizaon main phool miltay hain
aur baharon main khaar khiltay hain
garmiaan thand main guzartee hain
sardiyon main baden pighaltay hain
saray mausam hi meray jhootay hain

main kay her nakhudaa say lut-taa hun
aur her parsaa say lut-taa hun
kia tamasha hai apni sarhad main
fauj kay soormaa say lut-ta hun
saray mausam hi meray jhootay hain

maut ka raqs kub say jaari hai
khush hai aur mast is pay naree hai
mujhko yeh tuk pata naheen chaltaa
baazi kaisay kahaan pay haari hai
saray mausam hi meray jhootay hain

aadmiat yahaan sisaktee hai
aksariat kay ab bilaktee hai
wehshatain raston pay qabiz hain
jahiliat khulli chehektee hai
saray mausam hi meray jhootay hain

her muhafiz bana lutera hai
sub ko roshan lagay andhaira hai
ik diya hi jala sakun azhar
kitna tareek yeh saweraa hai
saray mausam hi meray jhootay hain

No comments:

Popular Posts