Tuesday, January 4, 2011

Saans ban jao or bus jao mairy saanson mein


Saans ban jao or bus jao mairy saanson mein
Bov laingay baramasi ko dil ke makinon mein

Insaan ki fitrat me hy kabhi badal jana
doston ko chod detay hain baton baton mein

Jahan se na kehtay phira karo ke dua karna
Kitnay aisay bhi hain achcha nahin hota duaon mein

Aankh tak hi ki bat hoti to rastah kar laitay
Ootar gayi hy bat jo seel gayi hy sinon mein

Faqat dikhavay per hi haq ko na pehchanay koi
Bahot insann badal jatay hain raton raton mein

Piyas meri na bujhi mooft me bhigna parah
Dost istrah ke bhi miltay hain barstay badlon mein

To phir kisnay khushbu ki phelai hogi jal?
Ham to aksar raha karay kagaz ke phoolon mein

Is se barh kar bhi hain andhairay dil ke under bhi
Nh matam karain koi yahan vahan, andheron mein

Doston ke chakkar me phansnay ki khair ho
Kashti phans ke bhanvar se nh nikli kinaron mein

Bhap ban kar samandar se barsay badal, banay jharnay
Kar sakta hy insan sairab, shireen zubanon mein

Khiltay rahay phool khizan ke aanay tak
Rung va bu chorh jatay hain fizaon mein

Sans ban kar rahay mehboob cha- hay chahnay wala
Taza dam rahay har pal voh dil ke makinon mein

Ab nh khat koi phool khushbu or giton me milaiga
Pahocha karega pegham mera garm garm sanson mein

Dubta suraj or dhundla sa milnay ka sama
Voh khushnuma manzar bhejunga apnee yadon mein

Samad na tamam hy ghazal tamam ho kar bhi
Bahot si un kahee rah gayee baton baton mein

No comments:

Popular Posts