Wednesday, January 5, 2011

khamushi jurm hai bolna jurm hai



khamushi jurm hai, bolna jurm hai
aajkal shehr meiN har adaa jurm hai.

bas bhatkate raho is gali us gali
ab kisii se pataa poochhna jurm hai.

bewafaa kaun hai, kaun hai bawafaa
is zamiN pe ye sab sochnaa jurm hai.

chal rahe haiN sabhi mujrimoN kii tarah
kya pataa kya khataa aur kya jurm hai.

kis qadar bemazaa ho gaye raat din
aarzoo se udhar dekhna jurm hai.

dil diya shauk se jurm pehla hua
wo na haasil hua doosraa jurm hai.


laut kar aayega wo kabhi na kabhi
dil meiN is qism ka hauslaa jurm hai.

haat lagne lagii hai ye duniya mujhe
muflisi in dinoN ik baRaa jurm hai.

soorateN sab chhipii hoN jahaaN sharm se
us jagah aaiine bechnaa jurm hai.

kis zamaane ke ho kuchh pataa hai tumheN
ye sadaaqat, ye neki, wafaa jurm hai.

No comments:

Popular Posts