Tuesday, January 4, 2011

Chobaara daikhne ki aarzu hai Dil aara daikhne ki aarzu hai


Chobaara daikhne ki aarzu hai
Dil aara daikhne ki aarzu hai

Shab-e-zulmat chunida maiN sapida
Ishara daikhne ki aarzu hai

Samundar phailta hi jaa rha hai
kinaara daikhne ki aarzu hai

Sar-e-raahay jise ik baar daikhaa
Doobaara daikhne ki aarzu hai

HamaiN ehsaas ki taarikiyoN maiN
Sitaara daikhne ki aarzu hai

Tere dil ki har ik dhaRkan pe apna
Ijaara daikhne ki aarzu hai

Muhabat ki talab hay phir se, jaise
Khasaara daikhne ki aarzu hai

JahaaN se ishq raanjhay ka uTha tha
hazaara daikhne ki aarzu hai

bachaa le doobte ko jo bil aakhir
sahaara daikhne ki aarzu hai

Huway haiN khwaab saare raakh laikin
Sharaara daikhne ki aarzu hai

KaraiN shabnam kay qatray WARD bosi
nazaara daikhne ki aarzu hai

No comments:

Popular Posts