Thursday, December 9, 2010

ye kaun doob gya aur ubhaar gaya mujh mein


ye kaun doob gya aur ubhaar gaya mujh mein
yu kaun saye ki suraat guzar gaya mujh mein

ye kis ke sog mein shorida haal phirta ho’n
woh kon shakhs tha aisa ke mar gaya mujh mein

ajab hawa-e-baharaa’n ne chara-saazi ki
woh zakhm jis ko na bharana tha bhar gaya mujh mein

woh admi ke jo pathar tha jiee raha hai abhi
jo ainna tha woh bikhar gayaa mujh mein

misaal kya ke woh jab bhi kareeb se guzara
vo youun laga ke koi raqs kar gaya mujh mein

woh sath tha to ajab dhuup chanaoo rehti thi
bas ab to ek hi mausam tehar gaya mujh mein

No comments:

Popular Posts