Friday, December 3, 2010

Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay


Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay...!!
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay....!!!


Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai...!!
Dil woh reh'roo keh samandar kay safar ko tarsay....!!


Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub-e-sukhan...!!
Jab koi Ehal-e-hunar, arz-e-hunar ko tarsay.....!!!


Ab kay iss toor musalat howa andhaira har soo...!!!
Hijar ke raat mairay deeda-e-tarr ko tarsay...!!


Umar itni tu at'aa kar mairay fun ko khaliq..!!!!!!!!
Maira dushman mairay marnay ke khabar ko tarsay....!!!!!!


Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain....!!!
Jaisay paani mein koi seep gohar ko tarsay....!!


Na'shana'saye kay mousam ka asar tu daikho.....!!!!
Aaina khaal-o-khad-e-aania gar ko tarsay....!!!


Aik dunia hai kay basti hai tairi ankhoon mein...!!
Woh toa hum thay jo tairi ik nazar ko tarsay........


Shoor-e-sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai Mohsin....!!!
Mousam-e-gul mein wohi shaakh samar ko tarsay....!!

No comments:

Popular Posts