Tuesday, December 7, 2010

Ho raat aakeli pechlay pehar


Ho raat aakeli pechlay pehar
aur chaand gagan main aa jaey

tum chaand ki manind tanha ho
ye baat tumhain tarpa jaa'ey

kuch khawaab saja k palkon pe
tum chaand se batain kar lena

hum yaad tumhain tu kartay hain
tum yaad hamain bhe kar lena

kuch baat na ho jub aisay he
num aankh tumhari ho jaey

tum baat kahen pe kartay ho
dil aur kahen pe kho jaey

jazbaat k aisay aalam main
muskaan labon pe bhar lena

hum yaad tumhain tu kartay hain
tum yaad hamain bhi kar lena

No comments:

Popular Posts