Wednesday, December 1, 2010

ham thay hamarey sath koi teesra na tha


ham thay hamarey sath koi teesra na tha
aisa haseen din kahee'n daikha suna na tha

aankho'n mai uski tair rahey thai haya k rung
palkai'n uttha k meri taraf daikhta na tha

kutch aisey uss ki jheel si aankhain thii harr taraf
ham ko siwaye doobney k raasta na tha

uskey tau ang ang mai jalney lagey diye
jadoo hai merey hath mai mujhko pata na tha

sanso'n mai tha ghulab tau honto'n pe chandni
inn manzaro'n se mai tau kabhi aashna na tha

roya kutch iss tarah merey shaney pe lag k wo 
aisa laga k jaisey kabhi be_wafa na tha

hai ishq aik raug, mohabbat azaab hai
ikk rauz ye kharab karengey kaha na tha

AMJAD waha'n pe hadd koi rehti bhi kiss tarah
rukney ko keh raha tha magar rokta na tha

No comments:

Popular Posts