Sunday, December 26, 2010

chalo ik nazam likhtay hain


chalo ik nazam likhtay hain
vo aisi nazam ho jis main..
kisi ka zikar hi na ho
kisi ki fiker hi na ho
kisi ki baivafai ka
kisi ki kajadai ka
kisi k lot ane ka kisi kay
chhor jane ka..
na os main phool hi mahkain
parinday tak nahe chehkain

vo aisi nazam ho jis main
kisi ki yad hi na ho..
koi faryad hi na.
vo aisi nazam ho
jis main na barish ho
na badl ho..
na bheega bheega kajal ho.
vo aisi nazam ho jis sai
kisi ki ankh na ho nam..
na zyada dukh hon
na hi kam..
vo aisi nazam ho jis main
na shikva na shikyat ho
koi aisi hikayat ho k
jis say dil bahel jaie
mager vo nazam main
kaise likhon..
koi bata day na
vo aisi nazam haan
jis main kisi ka
ziker hi na ho
kisi ki fiker hi na ho

No comments:

Popular Posts