Sunday, December 12, 2010

Bhanwar main duub kar ubroh kanare mil hi jate hain


Bhanwar main duub kar ubroh kanare mil hi jate hain
Agar justaju ho sachi sahare mil hi jate hain

Tamana chand ki karti hoon kyun tarikh ratoon main
Meri jab aankh ko ashkoun k tare mil hi jate hain

Munderon par nazar rahti hay grche koy mousam ho
Bahaar ane na ane k ishare mil hi jate hain

Woh aansu hain jo aankhon main palat kar hi naheen ate
Magar bichre huwe sache sahare mil hi jate hain

Naheen hay phool chahat ka koy bhi us k pehlu main
Magar nafrat k jalte sangpare mil hi jate hain

Naheen hay tashnagi ab zindagi main koy sawan ki
Humari aankh se ashkon k dhaare mil hi jate hain

Naheen gulfam yeh lazam k royeen hum muqadar ko
Kabhi shahoon ko bhi to kuch khasare mil hi jate hain

No comments:

Popular Posts