Monday, November 22, 2010

O des say aney waley bata

O des say aney waley bata
Kis haal mein hain yaran-e-watan?
Aawara-e-ghurbat ko bhi suna
Kis rang mein hain kina'an-e-watan?
Wo bagh-e-watan, firdos-e-watan
Wo sarv-e-watan, rehan-e-watan
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi watan mein waise hi
Sar-mast nazarey hotey hain?
Kiya ab bhi suhani raton ko
Wo chand sitarey hotey hain?
Hum khail jo khaila kartey they, kiya
Ab bhi wo sarey hotey hain?
O des say aney waley bata
Shadab shagufta pholon sey
Ma'moor hain gulzar ab k nahien?
Bazar mein malan lati hai
Pholon k gundhey haar ab k nahien?
Aur shouq sey totey partey hain
No-umr khareedar ab k nahien?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan waisi hi jawan
Aur madh bhari ratain hoti hain?
Kiya raat bhar ab bhi geeton ki
Aur piyar ki batain hoti hain?
Wo husn k jado chaltey hain
Wo ishq ki ghatain hoti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan k panghat per
Pinhariyan pani bharti hain?
Ungrai ka naqsha ban ban kar
Sab mathey pe gagar dharti hain?
Aur apney ghar ko jatey howe
Hansti hoi chehlain karti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi pahari ghatiyon mein
Ghanghor ghatain gonjti hain?
Sahil k ghanerey pairon mein
Barkha ki sadahien gonjti hain?
Jhengar k taraney jagtey hain
Morom ki sadahien gonjti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan mailon mein wohi
Barsat ka joban hota hai?
Phailey howe Pair ki shakhon mein
Jholon ka nasheman hota hai?
Umdey howe badal hotey hain
Chaya howa sawan hota hai?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan barsat k din
Baghon mein baharain ati hain?
Masoom o haseen do-shiza'ain
Barkha k taraney gati hain?
Aur tetariyon ki tarha sey rangeen
Jholon per lehrati hain?
O des say aney waley bata
Kiya pehli si hai masoom abhi
Wo madrasey ki shadab fiza?
Kuch bholey howe din guzrey hain
Jis mein wo misal-e-khwab fiza!
Wo khail, wo hum-sin, wo maidan
Wo khwab gah-e-mehtab fiza?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi kisi k seeney mein
Baqi hai humari chah bata?
Kiya yad humain bhi karta hai ab
Yaron main koi Aah bata?
O des say aney waley bata
Lillah bata! Lillah bata!
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi fajar dam ch'rwahey
Rewar ko charaney jatey hain?
Aur sham k dhundhley sayon k
Ham-rah ghar ko atey hain?
Aur apni raseeli bansriyon
Mein ishq k naghmey gatey hain?
O des say aney waley bata
Akhir mein ye hasrat hai k bata
Wo gharat-e-eman kaisi hai?
Bachpan mein jo aafat dhati thi
Wo aafat-e-doran kaisi hai?
Hum dono thay jis k parwaney
Wo shama-e-shabistan kaisi hai?
O des say aney waley bata
Marjana tha jis ka naam bata
Wo ghuncha deh'n kis haal mein hai?
Jis per thay fida tiflan-e-watan
Wo jan-e-watan kis haal mein hai?
Wo sarv-e-chaman, wo rashk-e-watan
Wo seem badan kis haal mein hai?
O des say aney waley bata
Ab naam-e-Khuda ho gi wo jawan
Maikay mein hai ya susraal gai?
Do-sheeza hai ya aafat mein usay
Kam-bakht jawani daal gai?
Ghar per hi rahi ya ghar say gai
Khush haal rahi, khush haal gai?
O des say aney waley bata

No comments:

Popular Posts