Sunday, November 21, 2010

Ik lafz-e-mohabbat ka adna sa fasana hai



Ik lafz-e-mohabbat ka adna sa fasana hai
Simtay to Dil-e-Aashiq phelay to zamana hai

Yeh kis ka tasawwar hai yeh kis ka fasana hai
Jo ashk hai aankhon mei Tasbeeh ka danaa hai

Hum ishq ke maaron ka itna he fasana hai
Rone ko nahe koi hansne ko zamana hai

Woh aur Wafa-Dushman manenge na mana hai
Sab dil ki shararat hai aankhon ka bahana hai

Kia husn ne samjha hai kia ishq ne jana hai
Hum Khaak-Nasheenon ki thokar mei zamana hai

Woh Husn-o-Jamal un ka yeh Ishq-o-Shabab apna
Jeene ki tamanna hai marnay ka zamana hai

Ya woh thay Khafa hum se ya hum thay Khafa un se
Kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai

Ashkon ki tabassum mei aahon ki tarannum mei
Masoom mohabbat ka masoom fasana hai

Aankhon mei nami si hai Chup-Chup se woh baithe hain
Nazuk si nigahon mei nazuk sa fasana hai

Hai Ishq-e-Junoo'n pesha haan Ishq-e-Junoo'n pesha
Aaj eik sitamagar ko hans hans k rulana hai

Yeh ishq nahe aasaa'n itna to samajh lijye
Ik aag ka dariya hai aur Doob k jana hai.......

No comments:

Popular Posts