Friday, August 20, 2010

ujaar lamhon ki daastanain ager kaho tou sunaain tum ko



ujaar lamhon ki daastanain ager kaho tou sunaain tum ko
bohat sa hum jagtey rahey hain chalo zara sa jagaain tum ko

tumhi hi jo rashni si ban ker humari aankhon mein aa basey ho
jab apni aankhain hi keh dya hai tou phir bhala kyun rulain tum ko

tum aaj kyun muztarib ho janan,tumharey lehjay mein toot kesi
kaha na tha k waqt dai ga kadooraton ki sazaain tum ko

tum aisa kerna k aik lamhay ko apni dharkan peh haath rakhna
meri wafaain merey ye jazbay ager kabhi yaad aain tum ko

ghubaar aalud raaston mein talaash ker ker k thak gaye hain
kahan peh jaa k basay huye ho kahan se dhoond lain tum ko

tumhain tou sukh aagay muyaser tumhain to hum yaad bhi nahi hain
magr batao k hum jo chahain tou kis tarah se bhulaain tum ko

tum apni baaton peh mutmain ho hamein bhi shermindagi nahi hai
anaa ki diwaar ko gira ker nahi ye mumkin manaain tum ko

kaho ae jazib ye jhoot hai naa k tum ne us ko bhula dya hai
abhi talak jis ki shokh yaadein her aik lamha sataain tum ko

No comments:

Popular Posts