Monday, August 9, 2010

Tujhe naaz hay kay mein haseen hun meray gulistan ko zawal kia



Tujhe naaz hay kay mein haseen hun meray gulistan ko zawal kia,
mujeh fakhar hay kay mein ishq hun jo jalaa na doon to kamal kia,


mujhe zindagi ki dua na day mujeh zindagi ki talab nahi,
meri maut ko jo taal day is zindagi ki majaal kia,


hamain manzilon ki khabar nahi hamain rahguzar ki talash hay,
is rahguzar per nikal paray to urooj kia or zawal kia,


teray pyar mein shikway gilay teri in adaon pay mar chalay,
jo hayat thi tujhe waar di, ab jawab kia or sawal kia,

No comments:

Popular Posts