Saturday, August 21, 2010

Qadam qadam pe naya marhala tha kya karta


Qadam qadam pe naya marhala tha kya karta,
Taweel hota gaya faasla main kya karta!

Her ek shakhs ko tha zaum-e rehbari kitna,
Bhatak raha tha mera qaafila main kya karta?

Gham-e Hayaat, Gham-e Ishq aur Gham-e Janaan'
Ulajh gaya tha her ik silsila main kya karta!

Tumhare saath kise failse ki fursat thee,
Tumhari baad bhala faisla main kya karta.

Bahut sambhaal ke rakha tha Dil main raaz tera,
Wo ban ke ashk jo girne laga main kya karta.

Mujhi se maangne aayi wo le ke majboori,
Ab usse us ki jaffa ka Gilla main kya karta.

Wo aansuon ki zabaan' jaanti na thi meri,
Mujhe bayaan' ka na tha hosla main kya karta.

No comments:

Popular Posts