Saturday, August 7, 2010

kesey lafaaz main kehdoon ye muqadar kia hai


kesey lafaaz main kehdoon ye muqadar kia hai
itna gehra hai mera zakham samandar kia hai

mere ashkoon se rawaan hoti hai hasrat meri
toot jaaogey jo dekho gey ye manzar kia hai

zindagi rooz naye gham ko jila deti hai
meri bardashat ke agey koi pathar kia hai

in andheroon main dikhaunga mai rasta kis ko
khud bhatakta ho jo manzil ko wo rahbar kia hai

youn to kehne ko thikana bhi hai mera lakin
jis main maatam ho subo shaam to wo ghar kia hai

kiya main ghabraunga gham se ke main kamzor nahi
maut ka khouf nahi jisko usey dar kia hai

No comments:

Popular Posts