Friday, August 20, 2010

Kal jo Tanhaee se baton ka silsila nikla


Kal jo Tanhaee se baton ka silsila nikla,
Teri har baat ka bhi tazkira nikla.

Bahut baaten ki mujhse tanhaee ne,
Phir jo daikha har lamha beqara nikla.

Baat itni ki thi mujhse meri tanhaee ne,
Phir jo teri yaadon ka bhi qafila nikla.

Jisko maine samjha tha khamosh hai,
Voh to bahut achchah lab kasha nikla.

Na jaane kitne hi sawaal the mere paas,
Voh tanha lamha to har ek ka jawab nikla.

Jis shaqs ko samajhta tha main nakam ASHIQ
Voh shaqs to ISHQ main kamraa'n nikla.

No comments:

Popular Posts