Friday, August 6, 2010

jo mein ne chaha woh nahin hua hai


jo mein ne chaha woh nahin hua hai
mere saath to hamesha yahi hua hai

chote lagi hazaaron is nazuk dil ko
laikin iss bar dard bohat ziaada hua hai

woh nahin jaanta ha koi bhi
jo kuch uss ne taqdeer mein likha hua hai

mein andar se hoon kitni bikhri
yeh kissi par nahin khulla hua hai

mere naam itna mohabba bhara khat
yeh aakhir kiss ne likha hua hai

meri zindagi mein ha intizaar or sirf intizaar
yeh sach to ab mujh par aashkaar hua hai

kissi k dil mein sachi mohabbat nahin hai
yahaan nafraton ka jaal buna hua hai

kissi cheez ko bhi choona nahin
yahan sabhi kuch bata hua hai

koi to ho jiss ko mein zakham dikhaaoon
maseeha koi nahin yahan bana hua hai

tum aakhir kissi ko bataati kiun nahin
tumhaare saath maajra kiya hua hai

ho gi tumhaari ghalti zaroor
tabhi tumhaara sir jhuka hua hai

yeh ho gayee kiya haalat aarzoo
tumhaara to sabhi kuch lutta hua hai

No comments:

Popular Posts