Saturday, July 3, 2010

Zindagi ne sikaya hamein Kissi par umeed na rakana


Zindagi ne sikaya hamein
Kissi par umeed na rakana
Par rakana aithbar har kisi pe

Zindagi ne sikaya hamein
Agar tum kudh ko chaho gay
Tho Har koi achcha lagey ga

Zindagi ne sikaya hamein
Tum ko bura nahin lagey ga
Agar dekho ke samne wale ki nazar se

Zindagi ne sikaya hamein
Na rona uss par jo nahin hai tumara
Jo hai tumara ussi se kush rahena

Zindagi ne sikaya hamein
Nafrat se mohabbat karo ke tho, Nafrat ko mohabbat ho jaye ki
Mohabbat se Nafrat karo ke tho, Mohabbat nafrat mein badal jaye ki

Zindagi ne sikaya hamein
Na dhoon do kushi ko, Na dhoon do chain
Kushi, Chain dhoone se nahin milti
Yeh hain kudh ke andhar, mehesoos karke dekho

Zindagi ne sikaya hamein
Kaate hain malee phool ke
Phool ko chaha aur kaate ko chodiya

Zindagi ne sikaya hamein
Koi achcha lagta hai
Jab tak woh bura na kardhe

Zindagi ne sikaya hamein
Bewafa wafa nahin kar sakthey
Wafa kare jo woh bewafa nahin ho sakthey

Zindagi ne sikaya hamein
Maut ne ki wafa tho
Zindagi ko bewafa kahe diya

Zindagi ne ithna sikaya hamein ke
Na gila hai zindagi se.

2 comments:

Varsha said...

I have no words for ur creation "zindagi ne sikhaya hamein" u jus picked each n every wrd frm reality...really very touchy n true!

FAYSAL'S POETRY said...

thanks dear,,,,,,,,,,,,,

Popular Posts