Saturday, July 3, 2010

wo uus say judai ka lamha yaad hai ab tak


wo uus say judai ka lamha yaad hai ab tak
wo us ka baywafai karna yaad hai ab tak

wa us ka pehla tohfa mujhay phol bhejna
wo us ka qemti tohfa yaad hai ab tak

wo us ka mairi zulfon ko yun baikherna
wo us k piar ka aandaz yaad hai ab tak

wo us ka mujhay bay baat dillana or sunnana
wo us ka hansana yaad hai ab tak

wo us ka yun mujh say aankhain churana
wo us ka nighahain millna yaad hai ab tak

wo mairi mohabbat ko bhi dushmani main samjhi
wo us ka badalna yaad hai ab tak

wo bhol gaya aasay jaisay kabhi milla na tha
wo us ka rothna yaad hai ab tak

main us ki rah taktay taktay thak gaya hoon
wo us ka intizar karana yaad hai ab tak

No comments:

Popular Posts