Friday, July 16, 2010

Tere Baad Bhi Wohi Gardishein, Wahi Mausam Tere Baad Bhi



Tere Baad Bhi
Wohi Gardishein, Wahi Mausam Tere Baad Bhi,
Wohi Hosle Mere Dam-Ba-Dam Tere Baad Bhi,
Tere Saath Bhi Meri Har Jafa Mere Saath Hai,
Tere Saare Gam Mujhe Pyaare Tere Baad Bhi,

Tere Gam Se Hai Meri Har Khushi Mein Kami Si,
Mere Haal Pe Hai Tere Karam Tere Baad Bhi,
Bade Ajeeb Mere Raaste Tere Baad Bhi,
Bada Sukoon Hai Mere Raaston Mein Tere Baad Bhi,

Tere Sath Bhi Meri Har Khushi Tere Liye,
Tere Sath Meri Chashm-E-Gam Tere Baad Bhi,
Tere Sath Thi Meri Duniya Mein Jo Roshni,
FaQat Ek Pal Kabhi Subah-E-Dam Tere Baad Bhi,

Tujhe Jaan-E-Gam Jo Kaha Kabhi To Galat Kaha,
Meri Zindagi Ka Jawan Hai Gam Tere Baad Bhi,
Tujhe Paas Paake Ahad-E-Wafa Mere Sath Kab?
Mujhe Jaan Se Badh Kar Tera Bharam Tere Baad Bhi,

Mere Baad Kitna Hi Roop Tu Na Badal Le,
Main Wohi Hoon Ab Bhi Teri Kasam Tere Baad Bhi,
Tu Kisiki Zindagi Ki Aarzu Mein To Dhal Gaya,
Main Na Ho Saki Kabhi Khud Ki Bhi Tere Baad Bhi...

Teri Aahaton Ka Bharam Tha Mera Humsafar,
Yehi Ek Gumaan Mera Hum-Kadam Tere Baad Bhi,
Tu Chala Gaya Apne Nishaan Samet Kar,
Mere Paas Hai Mera Gam-E-Zindagi Tere Baad Bhi...

No comments:

Popular Posts