Monday, July 12, 2010

Raat ki meharban fiza ki tarah


Raat ki meharban fiza ki tarah
koi to dondta hawa ki tarah

ab teri yaad yad ati hai
muj ko bholi hoi qaza ki tarah

kiya koi itna pyaar karta hai
koi hota hai kiya khuda ki tarah

shehar main aap ki zaroorat thi
gum hoa aap b wafa ki tarah

ghonjta hai kabi kabi Farhat
meray andar koi khala ki tarah

No comments:

Popular Posts