Friday, July 2, 2010

parakhna mat parakhne se koi apna nahin rehta


parakhna mat parakhne se koi apna nahin rehta
kisi bhi aaeinay main dair tak chehra nahin rehta

barey logon se milne main hammesha faasla rakhna
jahan deriya samander se mila deriya nahin rehta

hazaron shair mere sou gaye kaaghaz ki qabron main
ajab maan hoon koi bachaa mera zinda nahin rehta

tumhara shehar tou bilkul naye andaaz wala hai
humarey shehar main bhi koi ab hum sa nahin rehta

muhabbat aik khushboo hai hamesha saath chalti hai
koi insaan tanhayi main bhi tanha nahin rehta

koi baadal harey mausam ka phir ailaan kerta hai
khizaan k baagh main jab aik bhi patta nahin rehta

No comments:

Popular Posts