Tuesday, July 6, 2010

MuHabbat ke anokhe they sabhi andaaz kya karte


MuHabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte?
Rahay hum bhi gurezaaN, aap bhi naaraaz, kya karte?

Sanam tujh se muHabbat ka bhala aaghaz kya karte
LaboN per baat ayi, par na thi aawaaz kya karte?

Mire aHbaab kyaa karte, mire dam-saaz kyaa karte?
Mujhe jab dard hi tha raas, chaara-saaz kya karte?

Hujoom-e-shehr me hum kho gaye kuch chain paane ko
Akele me satati thi tiree aawaaz kya karte?

Dil-e-naazuk hamara us ne pal me torr Daala tha
Usey bhaati thi TooTe kaanch ki aawaaz, kya karte?

Ham us ke saamne chup saadh kar baiThaa kiye, phir bhi
"Jafaa-kaarii se pesh aaya woh Heelaa-saaz, kyaa karte?"

Saja kar sau tabassum aik Ghum tum se chupati thi
Magar tum jaan kar woh raaz, kya karte?

No comments:

Popular Posts