Tuesday, July 6, 2010

Mein dil pe jabar karoonga tujhe bhula doonga


Mein dil pe jabar karoonga tujhe bhula doonga
Maronga khud bhi tujhe bhi kari saza doonga

Yeh teragi meray hi ghar ka muqadar kyun ho
Mein tere shehar kay saray diye bhuja doonga

Hawa ka haath bataonga har tabahi main
Harey shujer sey parindey main khud ura doonga

Wafa karoonga kisi sogawar chehray se
Purani kabar pey katba naya saja doonga

Issi khayal se guzri hai sham-e-dard aksar
Kay hadh se barhay ga tu muskara doonga

Tu asmaan ki soorat hai, girr parega kabhi
Zameen hoon main bhi magar tujh ko asraa doonga

Barha rahi hain meray dukh nishaniyaan teri
Mein teray khat teri tasveer tak jala doonga

Bohut dinoon se mera dil udas hai Mohsin
Iss ainay ko aks ab naya doonga

No comments:

Popular Posts