Sunday, July 4, 2010

Main kab kahta hoon woh acha bohut hai


Main kab kahta hoon woh acha bohut hai
Magar uss ne mujhe chaha bohut hai

Khudaa iss shaher ko mahfuz rakhe
Yeh bacho'on ki tarah hansta bohut hai

Main har lamhe mein sadiyaan dekhta hoon
Tumhare saath aik lamha bohut hai

Mera dil baarisho'on mein phool jaisaa
Yeh bacha raat mein rota bohut hai

Woh ab laakho'on dilon se khelta hai
Mujhe pehchan le, itnaa bohut hai

No comments:

Popular Posts