Tuesday, July 13, 2010

Log toot jatay hain aik ghar banany main


Log toot jatay hain aik ghar banany main
Tum tars nahiin khatay bastiyaan jalanay main

Aur jaam tootain gay is sharaab khanay main
Mausmoon k anay main mausmoon k janay main

Her dharaktay pathar ko log dil samajhtay hain
Umrain beet jatiin hain DIL ko DIL banany main

Faakhta ki majboori, yey bhi kah nahiin sakti
Kon saanp rakhta hai us k aashyaanay main

Dosri koi larki zindagi main ayey gee???
Kitni dair lagti hai us ko bhool janay main???

No comments:

Popular Posts