Saturday, July 3, 2010

kiya hai pyaar jisse hum ne zindagi ki tarha



kiya hai pyaar jisse hum ne zindagi ki tarha
woh ashna bhi mila hum se ajnabi ki tarha

sitam to yeh hai ke woh woh bhi naban saka apna
qabool hum ne kiye jiss ke ghum khushi hi tarha

barha kar pyas meri is ne hath chor diya
woh kar reha tha morawat bhi dil lagi ki tarha

kabhi na socha tha hum ne qateel us ke liye
kare ga hum pe sitam woh bhi har kissi ki tarha

No comments:

Popular Posts