Monday, July 19, 2010

Kisi Ibteda Aur Intehaa Ke Darmiyan Hai Zindagi



Kisi Ibteda Aur Intehaa,
Ke Darmiyan Hai Zindagi,
Jahan Is Taraf Na Us Taraf,
Door Tak Kahin Kuch Nahi,
Jaise Doro Kahin Kisi Reh Guzar,
Ke Bich-O-Bich Koi Ajnabi,
Dhool Mein Kho Ke Raaston Ko,
Hichkiyon Se Ro Pade,
Jaise Rehguzar Ki Garam Ret,
Aur Aasman Ko Chhod Kar,
Nazar Ki Tamam Wusaton Mein Aur Kuch Na Mil Sake,
Dhoop Ki Tamazaton Ki Inteha Ki Wo Sar Zameen,
Jahan Hasraton Ke Bich Se Faqt Saraab Hi Khil Sake,
Us Ajnabi Ki Pyaas Kya,
Ummid Kya Aur Yaas Kya,
Bajuz Ajal Ka Intezar,
Aur Bacha Hai Uske Paas Kya,
Is Ibteda Aur Inteha Ke Darmiyan To Main Bhi Hoon,
Is Ibteda Aur Inteha Ke Darmiyan To Tu Bhi Hia,
Jaise Door Kahin Jangalon Mein,
Rail Ki Do Patriyan,
Jo Qurbaton Ki Anginat Raat-O-Din Ke Bawajood,
Ek Hath Bhar Ke Fasle Se,
Rehguzar Mein Bant Gayi,
Aah! Kya Mil Baithneki Wo Shabnami Si Hasratein,
Jo Zaviyon Ki Hair Phiar Ki Ganjalon Mein Phans Gayi,
In Intehahon Ke Darmiyan Ki Sitam Zareefi Dekhiye,
Jo Chandni Se Khwab The Wo Raaston Mein Kho Diya,
Jo Siskiyon Ke Azab The,
Wo Zindagi Ko De Diya...

No comments:

Popular Posts