Monday, July 26, 2010

Kisi Bhi Lamhe Koi Bhi Dhyan Mein Aa Sakta Hai



Kisi Bhi Lamhe Koi Bhi Dhyan Mein Aa Sakta Hai,
Kisiki Baatein, Kisika Chehra,
Koi Bhi Apna Ya Begana,
Soche Bina, Bas Be Dhehani Mein,
Na Danasta,
Idhar Udhar Ki Baatein Karte,
Ekdam Dilko Bha Sakta Hai,
Ho Kitne Mazboot Irade,
Chahat Se Bach Kar Chalne Ke,
Lakh Ye Khwahish Mein Aa Jaye,
Dilke Dar Par Jo Dastak Dein, In Haathon Ko,
Mayusi Ki Deemak Chaate,
Phir Bhi Aisa Ho Sakta Hai,
Bheed Mein Baithe Baithe Koi,
Khudko Ekdam Kho Sakta Hai,
Lekin Jaana,
Phoolon Jaise Tum Lagte Ho,
Kaanton Se Byopaar Na Karna,
Dekho, Mujhse Pyaar Na Karna...

No comments:

Popular Posts