Tuesday, July 27, 2010

Khwaabon se Banjar Be noor Aankhein


Khwaabon se Banjar Be noor Aankhein
Har ShaaM Naye Manzar Chhayein,
Bechain Badan, Pyaasi Raahein,
Har Aan Naye Paikkar Chahein

Tadapta Hai Lahoo
Andekhe Sapno Ki Khatir
Jane Anjane Raaston Par
Kuch Naqsh Banana Chahta Hai,
Banjar PaaMaal ZaMino Mein,
Kuch Phool Khilana Chahta Hai,

Yun Naksh Kahan Ban Paate Hai,
Yun Phool Kahan Khilne Wale Hai,
Yun ZakhMon Se Chhalni Roohon Ke
Yun Chaak Kahan Silne Wale...

Tadapte Lahoo Ko Behne Ke Adab Sikhane Padte Hai
Tab Mitti Mauj Me Aati Hai,
Tab Khwab Ke Mayne Bante Hai
Tab Khushbu Rang Dikhati Hai...

No comments:

Popular Posts