Sunday, July 4, 2010

Khawaab saath rehne kay nat naye dikhata hai


Khawaab saath rehne kay nat naye dikhata hai
Yeh jo asal mausam hai guzarta jata hai

Khud ko sabz hi rakha ansoo'on ki baarish main
Warna hijar ka mausam kisko raas ata hai

Tu hawa'on ka mausam, tujhko kya khabar jaana
Gard-e-badgumani se DIL bhi Toot jata hai

Aik tum hi the warna admi muhobbat main
laakh ayen diwaren, rastey banata hai

Hum tu khair nadaan the, muntazir rahe warna
Koi apni binaayi iss tarah gaanwata hai?

Kitne khawaab ankhoon mein zakhm ban'ney lagte hain
Jab hawa kay honthon pe tera naam ata hai

Sinkaroon dukaney hain visaal kay chiraghon ki
Kon hijar mein apna Ab lahu jalata hai

No comments:

Popular Posts