Thursday, July 8, 2010

Kabhi kabhi khaab mein aksar Mere tumhare gumshuda ye akshar



Kabhi kabhi khaab mein aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

Aise hi khayal mein, taabir samjhte us khaab ke
Kabhi shabnami, kabhi madham si chandani
Bhikarte falak ke rukh pe jaise ho damini
Dheema-Dheema khala se jo ruthe aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

Muthi mein band kuch saal se, chand lafz ek darkhast ke
Kabhi banti zaroorat, kabhi ek shrarat
Baadlo mein chipta suraj jaise kare bagawat
Tanha-Tanha in haatho mein ban jaaye yeh dua aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

Dhalti ek shaam se, shama ke anjaam pe
Kabhi khote ham, kabhi kuch paate tum
Darwaaze pe deep ka lau jaise nisha ke shor mein hota gum
Rafta-Rafta timtimate us lau mein gum hota aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

Mausam ke chilman se, phisalte kuch nam saase hai
Rukhsar se sarkate aakhon se tik kar
Roshni kare guzarish jaise andhere se simat kar
Pal -Pal karte ye gunah aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

Ek akshar tere naam ka, Ek akshar mere naam ka
Sehra mein chunte marasim ki nishaniya
Kabhi rukti kabhi chalti kahaniya
Akela-Akela sa lage par saath rahe aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

No comments:

Popular Posts