Tuesday, July 6, 2010

jo utar kay zeenayay shaam say teri chashmay_khush main sama gayay


jo utar kay zeenayay shaam say teri chashmay_khush main sama gayay
wohi jaltay bujhtay charagh say, meray baam-o-dar ko saja gayay

ye ajab khail hai piyar ka, main nay aap daykha ye maujza
wo jo lafz meray gumaa.n main thay, wo teri zaba.n pay aa gayay

wo jo geet tum nay suna nahi, meri umr bhar ka riyaaz tha
meray dard ki thi wo dastaa.n, jisay tum hansi main ura gayay

wo charaghay jaan kabi jis ki lau, na kisi hawa say nigoo.n hui
teri baywafae kay vasvasay, usay chupkay chupkay bujha gayay

wo tha chand shaamay_visaal ka, k tha roop teray jamal ka
meri rooh say meri aankh tak, kisi roshni main naha gayay

ye jo bandganay niyaaz hain, ye tamaam hain wohi lashkari!
jinhain zindagi nay amaa.n na di, to teray hazoor main aa gayay

teri bayrukhi kay dayar main, main hawa kay saath hawa hua
teray aainaay ki talash main, meray khwab chehra ganwa gayay

teray vasvasoon kay fishaar main, tera sheharay_rang ujaar gaya
meri khwahishoon kay ghubaar main, meray mah-o-saalay wafa gayay

wo ajeeb phool say lafz thay, teray hoont jin say mehak uthay
meray dashtay khwab main duur tak, koi bagh jaisay laga gayay

meri umr say na simaat sakay, meray dil main itnay sawal thay
teray paas jitnay jawab thay, teri ik nazar main sama gayay

No comments:

Popular Posts