Tuesday, July 13, 2010

jaan se apni guzar gaya hota


jaan se apni guzar gaya hota
tum na milte to mar gaya hota

hoon salamat,,tabhi ti yak ja hoon
toot-ta to bikhar gaya hota

nasahon ne zara si ghaflat ki
warna main bhi sudhar gaya hota

inteha be rukhi ki karne mein
kaash,,,main aap par gaya hota

dard hoon iss liye to uthta hoon
zakham hota,,,to bhar gaya hota

No comments:

Popular Posts