Sunday, July 4, 2010

Inhin khushgumaniyoon mein kaheen jaan se bhi na jaan


Inhin khushgumaniyoon mein kaheen jaan se bhi na jaan
Woh jo chaaragar nahi hai usse zakhm kyun dikhaon

Yeh udaasiyon kay mausam kaheen raayegaan na jaayein
Kissi zakhm ko kureedo kissi dard ko jagao

Woh kahaniyaan adhoori jo na ho sakeingi poori
Unhein main bhi kyun sunaon, unhein tum bhi kyun sunao?

Mere humsafar puraaney mere ab bhi muntazir hain
Tumhrin saath chorna hai tu abhi chor jao

Yeh judaaiyon kay rastey barii door tak gaye hain
Jo gaya woh phir na lauta meri baat maan jao

Kissi bewafa ki khatir ye junoon Faraz kab tak
Jo tumhein bhula chuka hai usse tum bhi bhool jao

No comments:

Popular Posts