Thursday, July 15, 2010

In dinon shehar bhar kay raston main Nachti hai bala ki viiraani



In dinon shehar bhar kay raston main
Nachti hai bala ki viiraanii
Aks dar aks dasti rehtii hai
Be sada aaiinon ko hairaani
Saray chehron key rang pheekay hain
Sari ankhain ujaarr lagtii hain
Saray din aahton ki gintii main
Sari raatin pahaarr lagtii hain

Bujhtii jaatii hain yaad kii shammain

Apni aankhon say aansoun kay nageen
Toot'tay hain tou dil nahin chuntaa
Jaisay shaakhon say zard-ruu pattay
toot'tay hain... koii nahin suntaa
Tuu kahan hain, kahan nahin hai tuu
Bhool jaa, yaad kion nahin aataa?

Hum say kya poochna mizaaj-e-jayaat
Hum tou bus ik dareeda daaman main
Bhar kay khaakistar-e-dyaar-e-wafa
Lay kay sadiyon kii baas phirtay hain
In dinon shehar bhar kay raston main
Hum akailay udaas phirtay hian

Ab yeh sochain tou aankh bhar aaye
In akailay ujaarr raston main
Tuu bhii shaayed kahiin nazar aaye

No comments:

Popular Posts